Wednesday, 11 March 2020

तुम जरा देर से ही आना....

याद आया है मुझे तुम्हारा वो मुस्कुराना
मुस्कुराकर हल्के से नज़रों को झुकाना
अपने चेहरे पर आते बालों को
एक अदा दिखाकर पीछे हटाना....

क्या खूब खोया हूँ तुम्हारी यादों के झरोखों में
तुम्हारी हाँ - ना के बीच के अपने ही धोखो में..
अब तो तुम मुझे ना ही असलियत दिखाना
बस यूँ ही मेरी यादों में मेरे लिए मुस्कुराना,
सुनो.. ऐसा करो.. तुम जरा देर से ही आना... I I

KAALI

Kali - ladki jo shadi ke baadse sabke taane sunn rahi, shayad ye he un chand logo me se ek thhi jiska naam uske uper charitarth thha.. Bachpan se he rang daba hua thha esliye kab priya naam jo ma baap ne Bachpan me pyar se diya thha wo ghumil ho gaya aur logo ne rang anusaar kaali bulana shuru kar diya. 3-4 saal ki thhi aur eska matlab bhi nhi samajhti thhi to log kaali bulate to pratikriya de deti, jab tak bechari samajh paati uska naam kali us devi ke naam per nahi balki uske rang ke kaaran pada hai tab tak to log usey kaali naam se he jaante thhe.. Ab to ghar wale bhi kali he bulane lage thhe. Ladki ki umar ab 14-15 saal hogi, ek do baar prayas kiya aur toka mera naam kali nahi Priya hai.. Per kahin sirf esko dekhha gaya kahin ansuna kar diya gaya per naam Kali he raha. Wo bachchi jo ab tak garv se khhud ko kali maa ka prativimb samajhti thhi ab kuntha me jeene lagi. Kuchh he samay me uska jivan puri tarah badal gaya sirf uske naam ko uske rang se jodne ke kaaran. Log usey pass nhi bulate thhe, uska koi dost nahi thha.. Ghar walo ne kabhi apni beti ka akelapann nahi dekhha aur na ander ke dard ko samajh sake.. Haan ma baap ke pyaar ne usey kabhi rang me nhi taula, ma ab bhi usey utna tez he gale lagati thhi jitna pehle jab wo bachchi khhud ko devi ka roop samajhti thhi. Pita ka sir pe haath abhi bhi vaisa he ahsaash dilata thha bss badla thha to uska khhud ko dekhhne ka najariya.
Seeshe ke saamne khade khade kab uski aankho se neeche sarakti hui paani ki line khich gayi wo khhud bhi nahi samajh paayi. Ek pal me usey aaj tak jitna galat uske sath ho raha thha, logo ki pratikriya usse dur rehne ki wo ab sabka matlab samajh rahi thhi........

Waqt beet gaya, kaali aaj shadi shuda hai apni jeewan ke ek anokhe aur mahatwapurn padav me hai.. Kaali aaj Ma ban chuki hai. Thodi der ke liye sab achchha thha.. Kaali ne god me bachchi ko uthaya bachche pe najar padte he kaali jor se ro padi.. Pehle maujood logo ko laga khushi me aanshu aur bhav bahar aa gaye per jab rona aur badha tab logo me puchhna shuru kiya.. Kaali ke ma baap bhi pahunch chuke thhe.. Kamre me aawajen gunj rahi thhin kaisi aurat hai bachchi ke janm per manhusiyat faila rahi.. Ma baap ko dekhhthe kaali ne joor se roote huye apni beti ko ma ko pakdaaya aur papa ke gale se lagkar jor se rone lagi aur boli
"Eska to naam Priya rahega na papa??"
Ma Baap ne bachchi ko dekhha, daba hua rang sayad ma se he mila thha.. Esliye ma ko apne saare jeewan ka saar ek pal me aankhon ke saamne se nikal gaya, logo ki saari bachpan me mili nafrat sayad aaj dobara usey jhakjor rahi thhi aur apni bachchi ko bhi ye sab jhelna padega sochkar he uska dil dehel ja raha thha...
Tab tak kali ke pati ko Baat samajh me aayi, bahut he suljha hua shant insaan Ravi.. Usne Kaali ke kandhe pe haath rakhha aur kaha hamari beti Kaali he banegi aur usko hum kabhi devi ke roop se hatne nahi denge.....
Pura mahol aansuo se bhara per Ravi ke es vaakya ne sabme ek anokhi urja ka sanchar kar diya..
Kali ne beti ko haath me uper uthaya aur pukara meri pyari bachchi "KAALI"........